Make your own free website on Tripod.com
TUNE YEH KYA KIYA

Tune yeh kya kiya Piya
Tune to gazab kar dala
Tune to mujhe mar hi dala
Tune to mujhe kahi ka na choda

Tune yeh kya kiya Sajan
Tune to mujhe shayar bana diya
Tune to dhadkanonko jaga diya
Tune to mujhe kavi bana diya

Tune yeh kya kiya Jaanoo
Tune mujhe itni yaaden kyon diye
Tune mujhe rangile sapne kyon dikhaye
Tune mujhe pagal kyon banaya O' diwane

Tune yeh kya kiya mere Dilbar
Tune to meri jaan le li
Tune to mujhe aas de di
Tune meri sanse jinda kar di

Tune yeh kya kiya mere Mehboob
Tu hi tu mere khayalon mein
Tu hi meri ashayon mein
Tu hi to mera sabkuch is jahan mein

Tune yeh kya kiya Meri Jaan
Tune kyon mujhe apne aap se china
Tune kyon mujhe sochne par majboor kina
Tune meri jaan lekar mujhe sikhaya jina

Tune yeh kya kiya mere Pyar
Tune mujko aasman pe chadaya
Tune mujko sikhaya sapne sajana
Tune to mujko apne basme kiya O' sajna

Tune yeh kya kiya mere Ashique
Tune hi yeh wada karna hai ek din
Tune hi samjhana hai mujko har din
Tune hi pyar kiya hai mujhse aur karte rahoge din ba din

***


Next | Main