Teri Ankhen

Yeh tumhari aankhe,
Bahot kuch hai bolte,
Itni jasbati aankhe,
Nahi dekhi kisiki hamne.

Jhil jaisi hai aankhe,
Jaise sagar behta ho inme,
Ghaharayi hai aise,
Kho jaye koyi jo dekhe inme.

Itni pyari pyari, khubsurat aankhe,
Dekhi nahi aaj tak meine,
Itni sundar, badami aankhe,
Dekha hai pehli bar hamne.

Aankhen nahi yeh to juba hai,
Bolti awaz man ki hai,
Aankhe nahi yeh to jadoo hai,
Dekhe jo behak jate hai.

Aankhe hai itni gahari,
Jo dil ke raste chalti,
Aankhe hai itni matwali,
Jo dekhe, dil mein basti.

Jo bhi dekhe inhe,
Ban jaye dewana aise,
Na rok sake, na hai unke bas mein,
Woh tarif kare, kho jaye inme.

Bhara hai isme pyar hi pyar,
Dekhe jo, ho jaye dilpe waar,
Itni bholi, masoom hai aankhe,
Jo chu jati hai dil ko aise.

Jitni pyari hai aankhen,
Bhole ho tum bhi utne,
Jitni sunder teri aankhen,
Mithe bol hai tere utne.

Aankhen hai teri darpan,
Basa hai isme sara gagan,
Dekhe jo inme jhankar,
Khush ho jaye inhe pakar.

Jo nikle ismese aansoon,
Roye sari duniya, karde dukhi yu,
Jo muskaye teri aankhen,
Duniya mein bahar cha jaye.

Yeh tumhari aankhen,
Kahti hai teri dastan,
Yeh tumhari nazare,
Kehti hai tum ho sacche.

Kuch to kehti hai teri aankhen,
Mashwara deti hai hame,
Ke khush rahna yuhi sada,
Kabhi na hona is jeeven se khafa.

To aisi hai mere Sajan ki aankhen,
Jo dekhe inhe, deti muskan,
Aisi hai unki aankhen,
Jo sabhi ke dil mein kar gayi ek jahan.

*****


Next | Main