PATTHAR DIL SANAM

Kitna karvaoge mujhse intazaar,
Itni bhi kya bedardi baar baar,
Kitna hai mujhe tumhara intazaar,
Itni baat na samajh aaye samjhaoo baar baar.

Kya tumhare sine mein dard nahi,
Itni bhi tumhe meri hamdardi nahi,
Kya tum mujhe mar dalna chahte ho,
Itna bhi gam kyon dena chahate ho.

Kya tumhe pata nahi hain,
Itna tumhe chahati hu main,
Kya tumhe bar bar batana hoga,
Itna bhi tumhe kya samjhana hoga.

Kya tum patar dil ho gaye ho,
Itnisi baat na samajh paarahe ho,
Kya phir se bataoo tumhe,
Itna nahi, mujhe pyar bahot hai tumse.

Kya mein karoo tumhare liye,
Itna bata do akhir bhagwan ke liye,
Kya mein karoo tumhe manane ke liye,
Itna pattar dil kaise pighlaoo tera pyar pane ke liye.

Kya tum mere ho sakte ho,
Itna bata do tum mere ho,
Kya tum mujhase wada karte ho,
Itna pyar kya mujhe tum de sakte ho.

Kya tum nahi chahate mein tumhari ho jaoo,
Itna nahi chahate mein tumhare saath rahoo,
Kya tum yahi chahate ho na,
Itna hi kafi hai ke tum mere to ho na.

***


Next | Main