MERA SANSAR

Mera Sansar hai woh
Mere dil mein rahta hai joh
Naam hai uska bada sundar
Woh mera hai Sajan

Mujhe to bas wohi pyara
Sare jag se nirala
Kabhi na hona mujhe unse juda
Mar jaaongi kabhi ho jao unse khafa

Kuch kuch hota hai mujhe
Jab bhi yaad karu unhe
Meine samjha pyar ko
Mehsoos karke mere yaar ko

Uski baate hai pyarbhari
Dil ko chule jaisi
Hai kahta hai jhula jhulaega mujhe
Sharam aati hai jab sochu unki mithi baaten

Ek na ek din baat to hogi
Uske dil ki awaz bol utegi
Ab mein karu usi din ka intezaar
Hai kab aaye woh gadi, hogayi mein bekaraar

Hai mere sajan!
Ab kaise chodu tumhe aise
Tera wada meri hai puja
Tere siwa mera koyi na duja

Paas to jaane ko dil karta hai unke
Magar nahi hai woh saath mere
Jannat to dikhaoongi unhe chumke
Pyar mein hai jo takat utni mere

Kho jaaongi unke pyar mein
Sabko bhula doongi unke didar mein
Sach hoga mera yeh khaab
Jab honge woh mere saath

Mili hai jis dinse unki chitti
Lage mein hogayi hu unki
Pehle na kabhi mehsoos hua aise
Na jane kab hua yeh kaise

Ab na banu mein thodi bhi sakt
Likh hi dalo pyar ka khat
Nahi karwaao unko intezar
Na ho jaye kahi woh mujhse bezaar!

Ab to tum ho meri jaan
Tumhare bina sari duniya hai sunsan
Kaise jataoon tumhe apna pyar
Kaise chukaoon main tumhara ye ahsaan

****


Next | Main