Jannat Meri Tumse

Haseena hu, to aayegi mujmein adayen,
Tadpati mein nahi balki meri adayen,
Mein kaha intezaar karwati hu,
Yeh to bas hai meri adaonka jadoo.

Haan pata hai mujhe mein hu jaan tumhari,
Magar jaanbujke nahi karwati sitam,
Kya karu, roke mujhe yeh duniya sari,
Mein nahi chahti karo tum intezaar mera saton janam!

Intezaar mein to wakayi hai alag maza,
Magar dena nahi chahti tumhe koyi saza,
Roke mujhe yeh bedard majbooriyan,
Isliye karwaya intezaar, hai yeh kya kiya!

Mera dilbar bada hi sundar,
Isliye lage yeh duniya jannat,
Dil mein basa loongi tumhe mein,
Jannat basa loongi tere saath mein.

Mera jaan bhi kuch kam nahi,
Lage surat se pyara,
Hai kab laayega meri doli,
Hoga us din intezaar tera!

Mera pyar hai bada hanseen,
Dekhu use lage duniya rangeen,
Jaise koyi jannat se aya,
Aisa pyar meine paya.

Mera mehboob hai bada naughty,
Isliye karoo maange badi badi,
Mein to karoongi unse manmani,
Jab tak na puri kare meri maange sari.

Mera janam sabse sexy,
Mar jaaongi mein sacchi,
Hai uske jalim jalwen,
Lut jaoo mein to kasam se!
Aisa hai ashique mera,
Jo lut gaya chain mera,
Ek gujarish hain unse,
Kabhi na hona khafa hamse.

Ab meine apne dil mein basa liya hai tumhe,
Meri dhadkano men tum hi tum,
Meri jaan ho tum, meri sanse bhi tum,
Ab jagah na chodna is dil se, jaanat hai meri bas tumse.

*****


Next | Main