Jab Tum Hi Nahi Saath Mere

Jab man bahot kuch bolna chahata hai
Shabd nahi hote mere paas
Jab mein bahot kuch karna chahati hu
Tum nahi hote mere paas

Kaise bataoo dil ki baaten
Jab shabd hi nahi mujhe milte
Kaise karoo tumhe pyar
Jab tum saath nahi mere yaar

Kaise rokoo is dil ki lagi ko
Man ho utatha hai mera chanchal
Mere dil mein machti hai halchal
Magar hai, tum to rahte ho pardes ko

To kaise karoo tumhe pyar batao
Jab tum nahi saath, na jee paoo
Kaise bataoo dil ki gahrayiyonko
Jab tum hi nahi yaha sunne ko

Pata nahi mein kah paaongi ya nahi
Mere paas itne bol hi nahi
Kaash ke tum meri dhadkan suno
Is dil ki gaharayiyonko samajho

Magar yeh bhi pata nahi
Ke meri aankhe mera saath dengi ya nahi
Kaise laaoo us bhawana ko nigahon mein
Jab bhi dekhoo tujhe sharmaoon mein

Kaash ke tum meri aankhon mein jhanko
Mere isharonko samjho, mere bhawanaonko jaano
Kaash ke tum aankhonko pado, is dil ki awaz suno
Mere har dhadkan mein, dil mein base pyar ko samjho

Magar hai, kaise hoga yeh sab
Jab hum hi nahi saath ab
Kaise bataoo mere nainonse
Jab tum hi ho door meri nazaronse

Ab to aajao Sajan, Pukare teri Sajni
Meri dhadkan ko suno, dil ki bhasha samjho
Meri nazare pado, kuch apni sunaoo
Ab to aajao, is suni duniya ko bahar banaoo

*****


Next | Main