Fursat mein aaye yaad

Fursat mili hai aaj jarasi
Isliye socha karlu yaad tumhari
Aati hai tumhari yaad din raat
Kaise samjhao is dil ki baat

Baite baite kya karu
Socha tumhe hi likhu
Tujko sunao mere dil ka haal
Tujko batao tune kiya mera behal

Behad yaad aate ho tum
Samaj mein na aaye kya kare hum
Bas kalam utake likhte hai tujhe
Dil ka haal sunate hai tumhe

Kab miloge tum na jane
Kab aayegi woh gadi ab Rab hi jane
kab hogi hamari mulakat
Kab hoge acche dil ke halat

Kab hoga hamara intezaar khatam
Kab aayegi woh gadi sanam
Ab to bas intezaar karu
Bas yuhi tumhe yaad karu

Yaad aati hai tumhari baaten
Tumhari woh miti miti yaaden
Yaad karti hu kuch kuch hota hai
Na jane pyar aisa kyon hota hai

Hai re samay!
Kyon dhadkaye hamara ridhay
Hai kab hoga pyar ka uday!
Kab aayega mulakat ka samay

Kyon le hamari pariksha
Bhagwan karna hamari riksha
Kab hogi puri hamari aankansha
Kyon de hame aisi shiksha

Kaisi aayi hai gadi
Kab hogi hamari intezari puri
Kaisi yeh majboori
Kab hogi khatam hamari doori

Tab tak yuhi likhti rahoongi tumhe
Yaad karti rahoongi tumhe
Intezaar karoongi hamesha
Tumhe yuhi pyar karti rahu, yahi meri aasha!

****


Next | Main